Hazrat Abu Ali Farmadi
Rahmatullah Alayh
Aap ka naam Qaseel Mohammad bin Mohammad hai.Toose ke qareeb Farmad nami qasba mein aap ki wiladat 434 Hjri ko hui. Tareeqa Alia Naqshbandia mein Hazrat Khwaja Abu al Qasim Gargani Rahmatullah Alayh se baet hue lekin awaisi tour par Hazrat Abul Hassan Kharkani Rahmatullah Alayh se faizyab hue. Aap ke sahib kamaal honay ke liye yeh daleel kaafi hai kay Hujah tul Islam Hazrat Imam Mohammad Ghazali Rahmatullah Alayh aap ke mureed aur tarbiyat Yafta thay .
Mashhoor hai kay Hazrat Sheikh abu Saeed abul Khair se eradat rakhnay walon mein se chalees walii Allah hue hain. Un mein se aik Sheikh ul salam Hazrat Jami Rahmatullah Alayh aur dosray Sheikh Abu Ali Rahmatullah Alayh mashhoor hue hain .
Aap farmatay hain kay mein aik roz madrassa mein apne kamray mein betha howa tha keh mere dil mein Hazrat Sheikh abbu Saeed abul Khair Rahmatullah Alayh ki ziyarat ki tamanna peda hui. Un dinon Sheikh abu Saeed abul Khair Nisha pur tashreef laaye hue thay. Be qarari mein mein uth kar bahar chala gaya. Jab chowk mein pouncha to dekha kay Hazrat Sheikh abbu Saeed abu Khair aik bari jamaat ke sath tashreef le ja rahay hain. Mein bhi un ke peechay ho liya. Aik jagah pahonch kar tashreef farma ho gaye to mein bhi aik kona mein baith gaya jahan Hazrat Sheikh abbu Saeed abu Khair ki nazar mujh par nah padtee thi .
Mehfil Samaa shuru hui aur Hazrat Rahmatullah Alayh ko wajad agaya. Haalat e wajad mein Hazrat Sheikh abbu Saeed abu Khair ne apne kapray taar taar kar liye. Jab Hazrat Sheikh abbu Saeed abu Khair wajad ki kafiat se bahar aaye to mureed aap ke labaas ke tukre tabarook ke tour par lainay lagey. Hazrat Sheikh abbu Saeed abu Khair ne aik aasteen apne haath mein pakri aur aawaz di kay ae abbu Ali Tusi kahan ho. Mein ne is khayaal se jawab nah diya kay Hazrat Sheikh abbu Saeed abu Khair mujhe pehchante nahi hain neez mein un ke samnay bhi nahi aur shaed un ke kisi mureed ka naam bhi Abu Ali hoga. Aap ne doosri aur jab teesri baar aawaz di to mein samajh gaya kay aap mujhe hi pukaar rahay hain. Mein aap ke samnay haazir howa aap ne woh aasteen mujhe marhamat farmai aur farmaya kay yeh tera hissa hai. Foran mere qalb mein roshni zahir hui aur phir roz baroz is mein izafah hi hota gaya .
Jab Hazrat Sheikh abbu Saeed abu Khair Nisha pur se tashreef le gaye to mein Hazrat Shaikh abu al Qasim Qashree Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir howa aur apni kefiyat bayan ki aap ne farmaya mubarak ho. Is ke baad teen saal tak husool ilm mein masroof raha. Aik roz mein ne qalam dawaat mein daali to woh safaid bahar niklee. Mein woh qalam utha kar apne ustaad Hazrat Shaikh abu al Qasim Qashree Rahmatullah Alayh ke paas le gaya aur apni haalat bayan ki. Hazrat Shaikh abu al Qasim Qashree Rahmatullah Alayh ne farmaya kyunkay qalam ne tujhe chhorr diya hai lehaza tum bhi yeh kaam chhorr doo aur tareqat ke kaam mein masroof ho jao .
Aik din Hazrat Shaikh abu al Qasim Qashree Rahmatullah Alayh hamaam mein ghusal kar rahay thay. Mein ne uth kar kunwein se pani ke kayi doll laa kar hamaam mein daal diye. Jab Hazrat Shaikh abu al Qasim Qashree Rahmatullah Alayh hamaam se bahar aaye to daryaft kya yeh kon tha jis ne hamaam mein pani ke doll daaley. Mein ghabra gaya kyunkay yeh harkat mein ne ki thi. Aakhir jurat karkay arz ki Hazrat yeh mein tha. Is par Hazrat Shaikh abu al Qasim Qashree Rahmatullah Alayh ne farmaya ae Abu Ali jo mein ne satter saal mein paaya to ne pani ke aik doll se woh sab kuch pa liya hai .
Is ke baad kuch arsa tak Hazrat Shaikh abu al Qasim Qashree Rahmatullah Alayh ke zair saya Mujahida karta raha. Aik roz mujh par aisi haalat taari hui kay mein is mein gum ho gaya. Mein ne yeh waqea Hazrat Shaikh abu al Qasim Qashree Rahmatullah Alayh se arz kya to unhon ne farmaya ae Abu Ali sulooq mein meri bhaag dor is maqam se oopar nahi aur jo kuch is maqam se ooper hai is tak meri rasai nahi .
Hazrat Shaikh abu al Qasim Qashree Rahmatullah Alayh ki ijazat se aap Hazrat Abu al Qasim Garghani Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue. Aap Rahmatullah Alayh khud farmate hain ke mein Toos mein Hazrat Abu al Qasim Garghani Rahmatullah Alayh ke paas hazir huwa to woh is waqt muraqbe mein thay. Aap ne sar uthaya aur farmaya ae Abu Ali ao kya chahtay ho? Mein ne salam ke baad halaat arz kiye. Aap ne farmaya tumhin yeh ibtida mubarak ho go tum kisi darjay par nahi puhanche lekin agar tarbiyat pao ge to barray darjay pao ge .
Is ke baad Abu Ali Rahmatullah Alayh farmatay hain ke unhon ne mujhe terhan terhan ki riyazat aur Mujahida karaya phir aik waqt aaya kay unhon ne apni Sahebzadi ka nikah mujh se karkay apni damadi mein le liya .
Is ke baad sulooq o takmeel ki manzil tay karne ke baad Hazrat Abu al Qasim Garghani Rahmatullah Alayh ne asp Rahmatullah Alayh ko waiz karne ki ijazat day di. Hazrat Abu Ali Rahmatullah Alayh farmatay hain kay mein ne Hazrat Abu al Qasim Garghani Rahmatullah Alayh se beshemaar faiz paye magar dil ki khwahish rooz barooz bharti jati thi. Is liye Hazrat Abu al Hassan Kharqani Hazrat Abu al Qasim Garghani Rahmatullah Alayh khidmat mein hazir ho gia aur behad fayooz o barkaat se mustafeed huwa.
Aap Rahmatullah Alayh ka wisaal 4 Rabiey al-awwal 511 Hjri ya 477 Hjri mein Iran ke mashhoor shehar Toos jisay aajkal Mashad kaha jata hai, mein howa. Anaa lillah wana ilaihi rajiun. Aap ka mazaar Toos yani Mashad mein ziyarat gaah khaas o aam hai